I Started blogging because I Love Poems and some thoughts. blog is a Great way to Come in Contact with other Peaple. Their ideas , wiews of the World. My Personal blog gives me as outlet to Express my feelings and Personal thoughts. Blogging is a Great way to Network and share ideas About the World.
Friday, September 16, 2011
Wednesday, September 14, 2011
Monday, September 5, 2011
Baarli - The Traditional Jewellery of India
Baarli is the Traditinal Jewellery of India. This Jewellery is made of silver. This Jewellery is worn by women of Rural areas of Rajasthan Hariyana Madhya pradesh & Gujarat. Baarli is worn around the neck. It's weight is between 100g. to 500g. A very few Jewellery makers can makes this Jewellery. Because Baarli is totally hand made Jewellery.
Hansli - The Traditional Jewellery of Rajasthan
Hansli is the traditional jewellery of Rajasthan. Mostly Popular in Jodhpur Division. This Jewellery is made of silver. This Jewellery is worn by women of rebari cast. Hansli is worn Around the neck. It's Weight between 70g. to 110g. A very few Jewellery makers can makes this Jewellery. Because the hansli is totally hand made Jewellery.
Thursday, September 1, 2011
Monday, August 1, 2011
Humse Door Ho Gae ....
Jane Kyo Akele Rahane Ko Majboor Ho Gae, Humare Apne Bhi Humse Door Ho Gae .... Ho Gae Tanha Mehfil Mein Is Kadar, Yaadon Ke Sae Bhi Humse Door Ho Gae ....
Sona Nahi Chahte ....
Aapko Pakar Ab Khona Nahi Chahte, Itana Khush Hai Ki Ab Rona Nahi Chahte .... Ye Aalam Hai Humara Aapki Judai Mein, Aakhon Mein Neend Hai Aur Sona Nahi Chahte ....
Aapke Pyaar Mein ....
Kya Kuchh Nahi Saha Aapke Pyaar Mein, Kabhi Kuchh Na Kaha .... Ab Kewal Chand Aansu Ki Bunde Bachi Aakhon Mein, Shesh Kuchh Na Raha ....
Ek Duje Mein ....
Zindagi Ko Pyaar Tak Le Jana Hai, Tumhari Baahon Mein Sab Kuchh Pana Hai .... Aaj Hume Had Se Gujar Jana Hai, Ek Duje Mein Sama Jana Hai ....
Tumhare Bina ....
Chale Bhi Aao Tumhare Bina Bahoot Udasi Hai, Ye Doori Tumhari Hume Bahoot Tarsati Hai .... Lagata Hai Patthar Dil Hai Tumhara, Humari Aakhon Mein Pani Hai Tumhari Aakhen Muskati Hai ....
Judai ....
Pyaar Kabhi Purana Nahi Hota, Zindagi Ka Har Pal Suhana Nahi Hota .... Juda Hona To Kismat Ki Baat Hai, Par Judai Ka Matalab Bhulana Nahi Hota ....
Akelapan ....
Bahut Akelapan Ghere Hain , Khatam Na Hoti Lambi Raate .... Thaki Thaki Si Bojhil Saanse, Kisase Karoo Mein Dil Ki Baate ....
Thursday, July 21, 2011
Unse Pyaar Ho Gaya ....
Unke Chhue Bina Ahsas Hua Chhoone Ka. Dil Ne Chupke Se Kaha Unse Pyaar Ho Gaya .... Jee Nahi Sakte Unke Bina Ek Pal Bhi. Unke Bina Jeena Ab Dushwaar Ho Gaya ....
Wednesday, July 20, 2011
Nayan Sharmeele Ho Gae ....
Tum Ne Kiya Sparsh Nayan Sharmeele Ho Gaye .... Ghir Aae Sapno Ke Baadal Bhar Lae Sheetal Jalgagar. Deh Ke Marusthal Par Simat Gaya Bahon Ka Sagar. Rasmo Ke Sare Bandhan Dheele Ho Gae. Swapn Rangeele Ho Gae .... Man Ke Maun Nimantran Par Pahun Ban Aa Pahuche Dware Par Sajan Ke Pav. Sautan Sa Lagne Laga Babul Ka Gav. Priyatam Ke Aarlingan Se Priya Ke Adhar Raseele Ho Gae. Prempath Barfeele Ho Gae ....
Un Raaton Mein ....
Jin Raaton Mein Neend Nahi Aati. Un Raaton Mein Yaadein Aati Hein Sapne Aate Hein. Madmati Hawa Mein Jese Sugandh Aati Hein Tumhare Daman Ki .... Ghadi Ki Tiktik Mein Dhvani Sunti hu Tumhari Dhadkan Ki. Dheere Dheere Bajne Lagte Hein Dil Ke Taar. Har Ang Jese Karta Hein Tumhari Pukaar .... Yon Lagta Hein Tum Kahi Mere Pas Haule Haule Kuchh Kah Rahe Ho. Lagbhag Nisshabd. Beaawaj. Mein Tumse Door Tum Mujhse Door. Pardesh Mein Vahaan Tumhari Raate Bhi Shayad Yon Hi Beetati Hogi .... Har Pal Har Xan Aati Hogi Tumhe Bhi Meri Yaad. Un Raaton Mein Jin Raaton Mein Neend Nahi Aati ....
Subscribe to:
Posts (Atom)